ham ko ḳhulūs-e-dil kā kisī ne sila diyā hai
ik tū ne ġham diyā hai so vo bhī kyā diyā hai
shahr-e-nigār-e-dil hai ātish-kade kī sūrat
mausam ne is baras bhī tohfa baḌā diyā hai
ham se nihāl-e-gulshan rañgīñ-nafas hue haiñ
dast-e-sabā ko ham ne rañg-e-hinā diyā hai
apnoñ kī justujū hai apne magar kahāñ haiñ
logoñ ne jaane ham ko kis kā patā diyā hai
jaañ vārte usī par vo qadr-dāñ jo hotā
bas paas thā jo apne vo sab luTā diyā hai
aisī havā meñ tanhā kyuuñ chhoḌte ho us ko
yaaro 'ḳhalīl' ab tak jaltā huā diyā hai