ġhairoñ kā jaane us se kaisā mo.āmla hai
apnā to is galī meñ charchā bahut rahā hai
samjho na yuuñ ki ham se vo jān-e-jāñ ḳhafā hai
apnī to kuchh tabī.at bas yuuñ hī be-maza hai
haañ anjuman meñ kam hai us ko hijāb lekin
anjān sā rahā hai tanhā agar milā hai
ik umr kī rifāqat yuuñ ḳhatm ho rahī hai
ham us se bad-gumāñ vo ham se gurez-pā hai
qaidī kī tarah sonā mujrim kī tarah uThnā
ye zindagī na jaane kis jurm kī sazā hai