Anwar Khalil

anjam-e-ishq mana aksar bura hua hai

Anwar Khalil

Delhi, India

1938
anjām-e-ishq maanā aksar burā huā hai
be-ishq zindagī kā anjām kyā huā hai
kyā hāl-e-dil sunā.eñ kyā vaj.h-e-ġham batā.eñ
bas ye ki āj-kal vo ham se khichā huā hai
kyā zikr gul-ruḳhoñ kā is shahr ke kareñ ham
har shaḳhs hī yahāñ to qātil banā huā hai
kis kis se mil chuke haiñ kis kis se ab mileñge
ik rog zindagī ko ye bhī lagā huā hai
aisī 'ḳhalīl' āḳhir kyā baat ho ga.ī hai
āñkheñ udaas sī haiñ chehra bujhā huā hai
Top Urdushayar.com