is bhuul meñ na rah ki ye jhoñke havā ke haiñ
tevar to un ke dekh zarā kis balā ke haiñ
kyā mājrā hai ai but-e-tauba-shikan ki aaj
charche tirī galī meñ kisī pārsā ke haiñ
is chashm-e-nīm-vā kī hai mastī sharāb meñ
sāġhar meñ saare rañg usī kī hayā ke haiñ
hastī kī qaid kāTte rahte haiñ rāt-din
kyā jaane kitne saal hamārī sazā ke haiñ
ai shaiḳh kyā Darātā hai maidān-e-hashr se
ham bandagān-e-ḳhalq bhī bande ḳhudā ke haiñ
hai ḳhauf kuchh to mauj-e-talātum kā bhī magar
ham log zaḳhm-ḳhurda but-e-nāḳhudā ke haiñ
rahnā paḌā hai duur karachi se varna ham
is shahr-e-be-misāl ke āshiq sadā ke haiñ
raa.ij raheñge shahr-e-suḳhan meñ hamāre sher
sikke haiñ ye khare ki ye qisse vafā ke haiñ
rakhtā hai ik salīqa-e-iz.hār muḳhtalif
sab mo'tarif 'ḳhalīl' kī tarz-e-adā ke haiñ