ye zindagī jo guzartī hai imtihāñ kī tarah
hameñ aziiz hai us yār-e-mehrbāñ kī tarah
maiñ us ko bhūlnā chāhūñ to bhuul jā.ūñ magar
vo mere saath hī rahtā hai merī jaañ kī tarah
sajānā chaah rahe haiñ magar sajā.eñ kyā
hamārā shahr hai lauTī huī dukāñ kī tarah
zarā samajh to sahī ahd-e-nā-sipās hameñ
ki tere saath haiñ ham yād-e-raftagāñ kī tarah
ḳhudā-gavāh ki is ahd meñ bhī jiitā huuñ
jo ki sabāt hai paimān-e-dostāñ kī tarah