Anwar Khalil

wo ek gham ki sahaara tha zindagi ke liye

Anwar Khalil

Delhi, India

1938
vo ek ġham ki sahārā thā zindagī ke liye
bhulā rahā huuñ use bhī tirī ḳhushī ke liye
to yuuñ ḳhayāl ke darvāze ham pe band na kar
hazār shahr khule hoñge ajnabī ke liye
jahāñ meñ kaun bachā hai hamāre qatl ke ba.ad
jo terī zulf machaltī hai barhamī ke liye
ḳhizāñ kā daur chaman meñ nayā nahīñ hai magar
kalī kalī na tarastī thī tāzgī ke liye
har ek samt sarāboñ ke qāfile haiñ ravāñ
nazar nazar meñ bayābāñ hai aadmī ke liye
jigar ke daaġh chhupā.e kabhī jo ham ne 'ḳhalīl'
añdhere dil meñ utar aa.e raushnī ke liye
Top Urdushayar.com