Betab Azimabadi

aql dauDai bahut kuchh to guman tak pahunche

Betab Azimabadi

Patna, Bihar, India

1866-1928
aql dauḌā.ī bahut kuchh to gumāñ tak pahuñche
kuchh haqīqat bhī hai insāñ kī kahāñ tak pahuñche
ishq ke sho.ale bhaḌak kar rag-e-jāñ tak pahuñche
aag sī aag hai ye aag jahāñ tak pahuñche
laḌ ga.ī un se nazar khich ga.e abrū un ke
ma.arke ishq ke ab tīr-o-kamāñ tak pahuñche
dil se bāhar ho tirā raaz gavārā hai kise
ye koī baat nahīñ hai ki zabāñ tak pahuñche
maar le vo nigah-e-nāz to rutba ho buland
sar ho ūñchā mirā gar nok-e-sināñ tak pahuñche
koī dīvāngī-e-ishq kā qissa chheḌe
silsila us kā ḳhudā jaane kahāñ tak pahuñche
surḳhī-e-ḳhār-e-bayābāñ ye pata detī hai
ki udhar se tire dīvāne yahāñ tak pahuñche
riñd pur-kaif ba-yak-gardish-e-chashm-e-sāqī
ġhāyat-e-dā.era-e-kaun-o-makāñ tak pahuñche
ruḳh se parde ko haTā husn-e-yaqīñ tak pahuñchā
āḳhir insān huuñ yuuñ aql kahāñ tak pahuñche
raah meñ aur bhī dīvānoñ se milte julte
pūchhte pūchhte ham un ke makāñ tak pahuñche
sharbat-e-dīd na ho teġh kā paanī hī sahī
koī ThanDak to mire qalb-e-tapāñ tak pahuñche
le ga.e ishq kī baazī pa safā.ī 'betāb'
jaan par khel ga.e jān-e-jahāñ tak pahuñche
Top Urdushayar.com