kahī na un se jo hoñToñ pe baat aa.ī bhī
ki āshnā.ī bhī thī sharam-e-āshnā.ī bhī
koī talab thī to dast-e-savāl phailāte
magar milī thī kahāñ sūrat-e-gadā.ī bhī
kaho havā se chale aaj raat tham tham kar
ki aag hai mire dāman meñ kuchh parā.ī bhī
tire karam ke fasāne to shahar bhar se kahe
tire sitam kī kahāñ jā ke deñ dahā.ī bhī
tirī sadā pe gumāñ dhaḌkanoñ kā hotā thā
ajab thā ab ke sukūt-e-shab-judā.ī bhī
tumhārī ham-safarī ke bhī the bahut ehsāñ
huī hai vaj.h-e-nadāmat shikasta-pā.ī bhī
nazar bujhī to mile raushnī kahāñ 'hashamī'
jalā ke sham.a bahut aañkh se lagā.ī bhī