maiñ ḳhudā bhī to nahīñ kyuuñ mujhe tanhā likh de
ab mire naam kī suulī pe masīhā likh de
aise sannāTe se behtar hai shikastoñ kī sadā
merī miTTī meñ ik uḌtā huā pattā likh de
de vo unvāñ ki zarūrat na kahānī kī paḌe
bāġhbāñ sabze pe ḳhākistar-e-ġhuncha likh de
raat bhar tere ujāloñ kī qasam khā.ūñ maiñ
tū sar-e-shām marī sham.a kā bujhnā likh de
ho chuke ḳhushk mirī aañkh ke chashme kab ke
sāmne dasht hai ik abr kā TukḌā likh de
phuul kā zikr bhī karte hue Dar lagtā hai
phir na tū merī zabāñ par kahīñ kāñTā likh de
daaġh us ek kalī kā na miTegā hargiz
merī jholī meñ agar baaġh bhī saarā likh de
saañs lete hue raakh uḌtī hai ab chehre par
na bujhā aag magar saath hī chashma likh de
bevafā.ī kī shikāyat use kyā logoñ se
jis kī rāhoñ meñ tū bachhḌā huā pyārā likh de
ab to is aas pe jiite haiñ ki shāyad 'hashamī'
likhne vaale ne jo ab tak nahīñ likkhā likh de