jo shikva karte haiñ 'hashamī' se kam-numā.ī kā
unheñ bhī Dar hai zamāne kī kaj-adā.ī kā
phire haiñ dhuup meñ saa.e ko saath saath liye
ki khul na jaa.e bharam apnī be-navā.ī kā
magar kuchh aur hai yaarī kī baat shauq se tum
lagāo chehroñ pe ilzām āshnā.ī kā
araq araq the nadāmat kī aañch se ḳhud hī
gila kareñ bhī to kyā terī bevafā.ī kā
kuchh is adā se satā.e ga.e haiñ ham ab ke
har ek saañs meñ andāz hai duhā.ī kā
chalā to huuñ tire hamrāh kuchh qadam hī sahī
jo de to kyuuñ mujhe ta.ana shikasta-pā.ī kā
jo apne dar pe sadā dī to kyā milā pyāre
yahī ki naam Dubo aa.e ham gadā.ī kā
nikal paḌe ho use DhūñDne magar 'hashamī'
ye rāsta hai mirī jaan nā-rasā.ī kā