jo terī afshāñ sañvāreñ zindagī ai zindagī
roz-o-shab aise guzāreñ zindagī ai zindagī
baḌh gayā dariyā kā paanī kaf uḌātā mauj mauj
uḌ ga.iiñ kūñjoñ kī Dāreñ zindagī ai zindagī
har taraf chhāyā huā hai ik sukūt-e-bekarāñ
phir bhī ham tujh ko pukāreñ zindagī ai zindagī
terī sūrat par gumān-e-dasht-o-sahrā haa.e haa.e
tere qadmoñ meñ bahāreñ zindagī ai zindagī
sar uThā.eñ daar par yādeñ sar-e-maqtal sadā
naqsh tere hī ubhāreñ zindagī ai zindagī
jin ke hoñToñ par sadā rahte haiñ tere zamzame
un ke sīnoñ meñ kaTāreñ zindagī ai zindagī
shahr hai āḳhir ye koī sard vīrāna nahīñ
jiine vaale dam na māreñ zindagī ai zindagī
deñ jo tujh ko fursat yak do nafas kī tohmateñ
un se bhī ham log hāreñ zindagī ai zindagī
duur tak miltā na ho nām-o-nishāñ terā jahāñ
ham vahāñ dāman pasāreñ zindagī ai zindagī