va.ada bhī us ne soch ke karne nahīñ diyā
phir us ke ba.ad mujh ko mukarne nahīñ diyā
manzil tamām umr mire sāmne rahī
ik rāste ne mujh ko guzarne nahīñ diyā
be-ḳhauf kar diyā hameñ ta.avīz-e-ishq ne
rusvā.ī kī balāoñ se Darne nahīñ diyā
aisā ubuur thā kisī patthar ko Thes par
aa.ina toḌ kar bhī bikharne nahīñ diyā
jis sarzamīñ ke husn pe nāzāñ rahe sabhī
us sarzamīñ kā husn sañvarne nahīñ diyā