kabhī kāñToñ ne yuuñ chhīlī havā.eñ
huiiñ kuchh aur nokīlī havā.eñ
sunahrī dhuup oḌhe nāchtī haiñ
mire āñgan meñ chamkīlī havā.eñ
mirī chunarī sajātī haiñ dhanak se
gulābī kāsnī niilī havā.eñ
ajab hai phūltī sarsoñ kā jaadū
hare raste chalīñ piilī havā.eñ
shumālī khiḌkiyoñ se jhāñktī haiñ
december kī ye barfīlī havā.eñ
ḳhizāñ pattoñ ko lene aa rahī hai
huī haiñ ḳhauf se piilī havā.eñ
ye insānī karam kā phal haiñ shāyad
dhuāñ ālūd zahrīlī havā.eñ
sulag uTThe haiñ mausam tishnagī ke
badan chhūne lagīñ giilī havā.eñ
ga.e sāvan kī yādoñ se lipaT kar
chalī aa.ī haiñ kuchh siilī havā.eñ