Nasira Zuberi

hamare bachne ki logo sabil koi nahin

Nasira Zuberi

hamāre bachne kī logo sabīl koī nahīñ
tamām shahr hai munsif vakīl koī nahīñ
nahīñ hai yaad masāfat kā kuchh hisāb mujhe
rah-e-talab meñ mirī sañg-e-mīl koī nahīñ
use yaqīn ki vo kā.enāt meñ tanhā
mujhe ye zo.am ki merī masīl koī nahīñ
nahīñ hai koī zamānat mire tahaffuz kī
huuñ aisā qil.a ki jis kī fasīl koī nahīñ
ye aur kaun hathelī pe jaañ liye niklā
ḳhabar to ye thī mirā ham-qabīl koī nahīñ
banī ho shakl har ik jaise mun.akis ho kar
mile haiñ aks nazar ko asiil koī nahīñ
ḳhizāñ meñ kaise ho sairāb fasl-e-dil merī
zamīn-e-misr huuñ aur merā niil koī nahīñ
be-āb-o-rañg manāzir kī is masāfat meñ
nazar kī pyaas bujhāne ko jhiil koī nahīñ
yahī junūñ mire jazbāt kī gavāhī hai
ki mere paas ḳhirad kī dalīl koī nahīñ
Top Urdushayar.com