Nasira Zuberi

maqam-o-ab hue sath sath sharminda

Nasira Zuberi

maqām-o-āb hue saath saath sharminda
hai karbalā jo pashemāñ furāt sharminda
lahū meñ Duub ke mazlūm surḳh-rū nikle
salīb-e-vaqt pe zālim kī zaat sharminda
jab ik jihat se chalā tiir nanhe bachche par
us ek pal meñ hue shash-jahāt sharminda
kahāñ hai shimr ko taufīq sharmsārī kī
magar hai ḳhanjar-e-qātil kī dhaat sharminda
gireñ jo kaT ke vahī sar-buland haiñ baazū
jo tiir mashk pe khīñcheñ vo haath sharminda
lahū-luhān shahīdoñ se sharmsār vo din
vo bībiyoñ ke khule sar kī raat sharminda
haiñ sar jhukā.e hue lafz lafz nauhoñ ke
bayān-e-marsiya kī baat baat sharminda
yazīd-o-shimr-o-amar aur bin-ziyād kahāñ
sivā.e hur ke huī sab kī zaat sharminda
fanā ke āḳhirī lamhe talak husain mire
rahegī ġham meñ tire kā.enāt sharminda
Top Urdushayar.com