raat bhar TuuTe hue ḳhvāb ke āzār ke saath
kaun rotā hai mirī aañkh kī dīvār ke saath
kis ne bāñdhā hai mire gird hisār-e-gardish
dā.era kaun banātā hai ye parkār ke saath
sar kaTā de ki jhukā de koī kamzor vahāñ
saath dene ko jo pūchhe koī talvār ke saath
ḳhud-kushī qatl-garī hādisa dahshat-gardī
roz ik sog chalā aatā hai aḳhbār ke saath
muskurātā huā ye dushman-e-derīna mirā
aaj maidān meñ aayā hai na.e vaar ke saath