Nasira Zuberi

muqabil hai jo mere aks ke us aaine mein hun

Nasira Zuberi

muqābil hai jo mire aks ke us aa.ine meñ huuñ
maiñ ḳhud par munkashif hone ke nāzuk marhale meñ huuñ
ḳhudī ke moḌ par huuñ aap hī maiñ muntazir apnī
ta.āruf kī na.ī manzil ke pahle rāste meñ huuñ
kashish terī sahī gardish mirī apnī hai ai mehvar
tire hī gard huuñ lekin maiñ apne dā.ere meñ huuñ
abhī is raushnī kī asliyat kā raaz mat kholo
abhī maiñ chāñdnī ke pur-fusūñ hairat-kade meñ huuñ
tasalsul saath hai mere mujhe tabdīl karne kā
azal se jārī-o-sārī fanā ke silsile meñ huuñ
safar meñ chal rahā hai ḳhauf sā aapas meñ luTne kā
ye kaisī raah par huuñ maiñ ye kaise qāfile meñ huuñ
abhī tark-e-ta.alluq ke kisī barzaḳh meñ hai vo bhī
abhī mahfūz hai jo maiñ bhī aise faisle meñ huuñ
havā ne yuuñ tasallī dī hai aksar ret nagrī ko
idhar ā.eñge āḳhir bādaloñ se rābte meñ huuñ
zamīnī mushkiloñ ke hal kī fursat hī kahāñ mujh ko
bahut uljhī huī ik āsmānī mas.ale meñ huuñ
Top Urdushayar.com