safar kā aur koī silsila nikāleñge
bhaTak ga.e to nayā rāsta nikāleñge
qarīb aane lagegī jo vasl kī manzil
ham apne biich koī fāsla nikāleñge
sameT kar kisī kone meñ gaThḌiyāñ ġham kī
na.ī ḳhushī ke liye ham jagah nikāleñge
baneñge ishq-e-adālat meñ ham vakīl tire
purānī baat meñ nukta nayā nikāleñge
rahe jo umr kī puujā ke ba.ad bhī patthar
diloñ se ham vo sabhī devtā nikāleñge
tirī jafā meñ milā kar sitam zamāne ke
sharāb-e-ġham kā ajab zā.iqa nikāleñge
hameñ ḳhamosh kiyā jā.egā sadā ke liye
agar zabān se koī sadā nikāleñge
bharegī niiñd jo in be-qarār āñkhoñ se
ham ek umr kā ye rat-jagā nikāleñge