Nasira Zuberi

lab-kushai mein zamane se nahin Darna tha

Nasira Zuberi

lab-kushā.ī meñ zamāne se nahīñ Darnā thā
umr bhar ham ne kiyā kyā hameñ kyā karnā thā
surḳh-rū kār-e-jahāñ mahfil-e-dil be-raunaq
bhar diyā rañg kahāñ ham ne kahāñ bharnā thā
kis guzargāh se mānūs-e-qadam ho baiThe
us jagah ham ne to paañv hī nahīñ dharnā thā
band āñkhoñ se batā sakte haiñ vo ḳhvāb nagar
is jagah jhiil thī yaañ ham the vahāñ jharnā thā
vaqt lāzim hai magar ai dil-e-barbād tujhe
jism kī maut se pahle to nahīñ marnā thā
ġhairiyat aañkh meñ majbūri-e-hālāt se thī
dil meñ ehsās-e-shanāsā.ī hameñ varna thā
ġhair ne paañv jamāne the yahāñ kāvish se
ham ne ilzām bure vaqt ke sar dharnā thā
ḳhud se milnā thā abhī us se bichhaḌnā thā abhī
ham ko jiinā thā abhī ham ko abhī marnā thā
khā ga.ī barf bahut vaqt se pahle sabza
marġh-zāroñ meñ ġhazāloñ ko abhī charnā thā
Top Urdushayar.com