Nasira Zuberi

kaghzi kashti ki aamad ka ishaara mil gaya

Nasira Zuberi

kāġhzī kashtī aamad ishāra mil gayā

Dūbne vaale ko tinke sahārā mil gayā

ho gayā shāmil ġharaz rañg mauj-e-ishq meñ

jhiil ke nithre hue paanī meñ gaarā mil gayā

ghul ga.ī betābī-e-dil vaqt ke mahlūl meñ

zabt ke Thahre hue paanī meñ paara mil gayā

dil ke kārobār meñ hāsil koī shart hai

mil gayā is raah meñ jis ko ḳhasāra mil gayā

nā-mukammal ḳhvāhishoñ dard kho dene ke ba.ad

yuuñ huā phir vo mujhe saare saarā mil gayā

rakh chukā hai rehn vo pahle apnī raushnī

kis sitāre se mire dil sitāra mil gayā

ḳhud luTā kar chhoḌ aa.e jis ḳhātir kārvāñ

rahzanoñ ke saath vo rahbar hamārā mil gayā

kho gayā vo kis tarah jis ko kabhī paayā nahīñ

jis ko paayā nahīñ kaise dobāra mil gayā

sabz parcham ko milī āzād mausam havā

ham ko apnī sar zamīñ chāñd taara mil gayā

Top Urdushayar.com