kabhī sahar to kabhī shaam honā chāhtā huuñ
kabhī piyāla kabhī jaam honā chāhtā huuñ
nahīñ mile the to shohrat kī bhuuk jaagī thī
jo mil ga.e ho to gumnām honā chāhtā huuñ
ubhar rahe haiñ tirī chāhatoñ ke bāġh-o-bahār
maiñ chupke chupke dil-ārām honā chāhtā huuñ
sunahrī yādeñ hī paltī rahīñ jis āñgan meñ
maiñ us mahal ke dar-o-bām honā chāhtā huuñ
maiñ apne ḳhud ke banā.e hue usūloñ meñ
kabhī maiñ kirshn kabhī raam honā chāhtā huuñ
tere fasāne kī har ḳhushnumā ibārat meñ
kahīñ pe qaaf kahīñ laam honā chāhtā huuñ
mire ḳhudā mujhe ab husn kī bashārat de
maiñ us ke shahr pe ilhām honā chāhtā huuñ
udāsiyoñ ne likhā hai jo chehre chehre pe
fasurdagī kā vo paiġhām honā chāhtā huuñ
qadam qadam pe yahāñ karbalā.eñ phailī haiñ
maiñ vaqt-e-asr kā hañgām honā chāhtā huuñ