ik sādgī nibhā.ī hai tarz-e-suḳhan ke saath
saudā nahīñ kiyā hai kabhī fikr-o-fan ke saath
ye kyā ki baat baat pe bas dil-lagī kī baat
tum bhī to pesh aao kabhī apne-pan ke saath
dil meñ tire ḳhayāl se yuuñ raushnī huī
jaise ki sub.h aa.ī ho pahlī kiran ke saath
zaḳhmoñ kā chāñd dil kī tapish aur hayā ke rañg
ab sab chale ga.e haiñ tirī anjuman ke saath
miTTī kā qarz ham ne kuchh aise adā kiyā
dastār bhī utaar diyā pairahan ke saath
ab ke havā.eñ kaun sī rut le ke aa.ī haiñ
sahrā bhī pur-bahār hai ab ke chaman ke saath
ab ke girānī saarī hadeñ paar kar ga.ī
saude meñ ab zamīr bhī hai jān-o-tan ke saath
kaise zamāne terī ḳhudā.ī qubūl ho
rishte mire bahāl haiñ dār-o-rasan ke saath
aapas meñ uljhe rahte haiñ kyuuñ zehn aur zamīr
samjhauta donoñ kar hī chuke jab ki man ke saath
shāyad koī hasīn sā manzar ubhar ke aa.e
gardish meñ ab ke abr hai niile gagan ke saath