gardish-e-vaqt phir ik taaza safar māñge hai
aur mirī ḳhāna-badoshī koī ghar māñge hai
bām-e-ummīd se palTī huī nākām duā
bāryābī kā koī aur hunar māñge hai
kāsa-e-harf bhī pindār ko girvī rakh kar
kabhī ḳhil.at to kabhī la.al-o-gohar māñge hai
dil to bas aap kī rañgīn ḳhayālī meñ hai gum
aur dhaḌkan tire aane kī ḳhabar māñge hai
ik thakā haarā musāfir koī dam lene ko
būḌhe bargad se koī ek pahar māñge hai
apnī tārīkī se ḳhud raat bhī hai ḳhauf-zada
itnī vahshat hai ki ab ḳhud hī sahar māñge hai
pahle mahdūd thī dil tak hī ye vīrānī-e-jāñ
ab ye sañgīn vabā puurā nagar māñge hai