adl se muñh moḌ kar jab munsifī hone lage
saḳht kāfir jurm bhī ab maz.habī hone lage
tishnagī kī aañkh meñ be-samt tevar dekh kar
kitne dariyā-dil samundar bhī nadī hone lage
hasrateñ palne lagī haiñ phir nubuvvat ke liye
kuchh dinoñ meñ kyā ḳhabar paiġhambarī hone lage
intihā ko jab bhī pahuñche qurbatoñ kā ishtiyāq
kyā patā jibrīl kī bhī hamsarī hone lage
qalb tak pahuñchī nahīñ jin ke sharāb-e-ma.arifat
aise farzī log da.ave se valī hone lage
ishq ko ab le chaleñ aao ik aise moḌ par
pyaar meñ jo kuchh bhī ho vo bandagī hone lage
mil ga.ī haiñ vaqt ko jaane kahāñ kī vus.ateñ
in dinoñ lagtā hai lamhe bhī sadī hone lage