Muntazir Qaimi

qabr se qahr ke aasar nikal aate hain

Muntazir Qaimi

Faizabad, Uttar pradesh, India

1976
qabr se qahr ke āsār nikal aate haiñ
ḳhānqāhoñ meñ bhī darbār nikal aate haiñ
uḌtī paḌtī huī be-kār sī afvāhoñ par
surḳhiyāñ oḌh ke aḳhbār nikal aate haiñ
ġham ke sailāb meñ ham Dūbte itrāte haiñ
kabhī us paar to is paar nikal aate haiñ
itnī māyūsī hai ab zaḳhm ke bāzāroñ meñ
āñsuoñ ke bhī ḳharīdār nikal aate haiñ
vo to jaañ le ke musallam haiñ vafādārī meñ
ham to sar de ke bhī ġhaddār nikal aate haiñ
jab bhī aḌ jaate haiñ har haal meñ bai.at pe yazīd
phir kafan oḌh ke inkār nikal aate haiñ
vo mohabbat ho siyāsat ho ki ho amn ki jañg
ab to har moḌ pe bāzār nikal aate haiñ
ġham meñ Duubī huī bad-hāl sī sachchā.ī par
laḌkhaḌāte hue ash.ār nikal aate haiñ
Top Urdushayar.com