Pirzada Qasim

shikast-e-dil mein bhi ek zindagi nazar aai

Pirzada Qasim

Karachi, Sindh, Pakistan

1943
shikast-e-dil meñ bhī ik zindagī nazar aa.ī
diyā bujhā to hameñ raushnī nazar aa.ī
farāz-e-dār pe koī hameñ na pahchānā
zamāne vāloñ ko ḳhush-qāmatī nazar aa.ī
sar-e-dayār-e-vafā dostoñ ke jhurmuT meñ
darīda jism liye dostī nazar aa.ī
ab aur tarz se naqqāra-e-ḳhudā gūñje
zabān-e-ḳhalq to ḳhāmosh hī nazar aa.ī
vo rakh-rakhāv na dekhā diye ke jalne meñ
jo us ke bujhne meñ shā.istagī nazar aa.ī
Top Urdushayar.com