Pirzada Qasim

ishq ne hum ko junun-asar aisa kar diya

Pirzada Qasim

Karachi, Sindh, Pakistan

1943
ishq ne ham ko junūñ-āsār aisā kar diyā
basta-e-sāhil bhī rakkhā aur dariyā kar diyā
is gulistān-e-gumāñ meñ ham bhī the mānind-e-ḳhvāb
garmī-e-andesha ne ham ko bhī sahrā kar diyā
dīda-e-ḳhush-bīñ kī ye e.ajāz-farmā.ī to dekh
kaise mub.ham ḳhāl-o-ḳhat ko ek chehrā kar diyā
ye jahāñ pinhāñ thā ik be-manzarī kī ḳhaak meñ
ham ne chashm-e-shauq se dekhā to duniyā kar diyā
ruashnī-e-tab.a ne raushan kiyā hai ik jahāñ
aur mujhe is ā.ina-ḳhāne meñ tanhā kar diyā
jab kabhī shab-zād lamhe gherne aa.e hameñ
ham ne sham-e-jāñ jalā.ī aur saverā kar diyā
ye karāmat bhī ajab us kī masīhā.ī meñ hai
jo ba-zāhir bhar diyā vo zaḳhm gahrā kar diyā
muntazir thā vaqt so ham ne ba-andāz-e-suḳhan
aarzū kā ik jahān-e-tāza paidā kar diyā
Top Urdushayar.com