sāneha nahīñ Taltā sānehe pe rone se
habs-e-jāñ na kam hogā be-libās hone se
ab to merā dushman bhī merī tarah rotā hai
kuchh gile to kam hoñge saath saath rone se
matn-e-zīst to saarā be-numūd lagtā hai
dard-e-be-nihāyat kā hāshiya na hone se
sachche sher kā khaliyān aur bhartā jaatā hai
dard kī zamīnoñ meñ ġham kī fasl bone se
hādsāt-e-paiham kā ye ma.aal hai shāyad
kuchh sukūn miltā hai ab sukūn khone se