ḳhirman-e-jāñ ke liye ḳhud hī sharar ho ga.e ham
ḳhāksārī jo baḌhī ḳhāk-basar ho ga.e ham
apne hone kā yaqīñ aa gayā bujhte bujhte
be-karāñ shab meñ jo imkān-e-sahar ho ga.e ham
nā-murādī meñ nashāt-e-ġham imkāñ thā ajab
ham kabhī shaad na ho paate magar ho ga.e ham
ham nahīñ kuchh bhī magar mārka-e-ishq kī ḳhair
jiit maqsūm huī us kī jidhar ho ga.e ham
jāda-e-ishq tirā haq to adā kis se huā
ḳhair itnā hai ki āġhāz-e-safar ho ga.e ham
zindagī aise guzārī ki subuk sar na hue
yaanī is daur meñ jiine kā hunar ho ga.e ham
tesha bhī ham the yaqīñ ham the to zindāñ kyā chiiz
yahī honā thā so dīvār meñ dar ho ga.e ham
dast-e-qudrat hameñ kuchh aur hai banñā so banā
chhoḌ ye zikr ki qatre se guhar ho ga.e ham