uTh rahā hai āshiyānoñ se dhuāñ dekhegā kaun
hai magar ta.abīr ḳhvāb-e-rā.egāñ dekhegā kaun
jal rahī hai dil meñ ik āfāq se rishte kī lau
jaise ham dekhe haiñ sū-e-asmāñ dekhegā kaun
tū bahut ā.indagāñ kā khīñchtā hai intizār
be-ḳhabar vo raunaq-e-ā.indagāñ dekhegā kaun
ek ehsās-e-shikast-e-shab bahut raushan magar
be-karāñ is be-hisī ke darmiyāñ dekhegā kaun
aarzū kā ik jahān-e-tāza bhī manzar meñ hai
maiñ jise pahchāntā huuñ vo jahāñ dekhegā kaun
rāste raushan bahut kartā rahā huuñ zer-e-pā
duur tak phaile haiñ qadmoñ ke nishāñ dekhegā kaun
daad jāñkāhī kī kis se paa.eñ ab ahl-e-hunar
ḳhūñ-chakīdā ḳhāma ristī uñgliyāñ dekhegā kaun
dekhte haiñ sab furū-e-shauq kī zebā.isheñ
kam nahīñ kuchh ye ma.āl-e-shauq haañ dekhegā kaun
rafta rafta ho rahegā zaḳhm-e-dil kā indimāl
bujhte bujhte bujh hī jā.egī fuġhāñ dekhegā kaun
dekh dil meñ ho rahā hai ik nayā manzar tulūa
jo idhar bikhrī paḌī hai kahkashāñ dekhegā kaun