Pirzada Qasim

lamha lamha mera har ek se siwa jagta hai

Pirzada Qasim

Karachi, Sindh, Pakistan

1943
lamha lamha mirā har ik se sivā jāgtā hai
maiñ alag jāgtā huuñ dard judā jāgtā hai
baḳht bhī sote haiñ aur ghar ke makīñ bhī lekin
sarhad-e-shab pe kahīñ ek diyā jāgtā hai
ḳhvāb ho jaane se pahle koī harf-e-ḳhush-kām
isī ummīd pe ye zehn-e-rasā jāgtā hai
ham pe hī ḳhaas haiñ kuchh us kī ināyāt so ab
fitna is shahr meñ har roz nayā jāgtā hai
ai mire dard batā had se guzarnā kab hai
tū jo yuuñ jāgtā rahtā hai to kyā jāgtā hai
Top Urdushayar.com