Pirzada Qasim

jaise yaad-e-imbisat-o-gham shakebai ke baad

Pirzada Qasim

Karachi, Sindh, Pakistan

1943
jaise yād-e-imbisāt-o-ġham shakebā.ī ke baad
der tak rote rahe ham bazm-ārā.ī ke baad
ai sarisht-e-shauq ab nāpaid ho kar dekh le
aur kyā honā hai is hone kī rusvā.ī ke baad
is qadar saffāk kab thī vaqt kī be-manzarī
kor-chashmī se bhī baḌh kar dukh haiñ bīnā.ī ke baad
ḳhud ko pā lene kī hasrat meñ bahut rusvā hue
kuchh sivā rusvā.iyāñ haiñ ab shanāsā.ī ke baad
be-masāfat ik safar dar-pesh rahnā chāhiye
sochte haiñ umr bhar kī jāda-paimā.ī ke baad
kal maiñ ḳhud se silsila-dar-silsila miltā rahā
ālam-e-tanhā.ī jaise dasht-e-tanhā.ī ke baad
hai vahī sahrā magar shādāb kitnā ho gayā
rah-navardān-e-junūñ kī ābla-pā.ī ke baad
dil meñ ab pahlī sī vo gunjā.isheñ baaqī nahīñ
pahle ik dālān aa jaanā thā añgnā.ī ke baad
Top Urdushayar.com