ab harf-e-tamannā ko samā.at na milegī
bechoge agar ḳhvāb to qīmat na milegī
tash.hīr ke bāzār meñ ai taaza ḳharīdār
zebā.isheñ mil jā.eñgī qāmat na milegī
lamhoñ ke ta.āqub meñ guzar jā.eñgī sadiyāñ
yuuñ vaqt to mil jā.egā mohlat na milegī
sochā hī na thā yuuñ bhī use yaad rakheñge
jab us ko bhulāne kī bhī fursat na milegī
tā-umr vahī kār-e-ziyāñ ishq rahā yaad
hālāñki ye ma.alūm thā ujrat na milegī
ta.abīr nazar aane lagī ḳhvāb kī sūrat
ab ḳhvāb hī dekhoge bashārat na milegī
ā.īna-sifat vaqt tirā husn haiñ ham log
kal aa.ine tarseñge to sūrat na milegī