hujra-e-zāt se bāhar to nikal kar dekho
tum kisī dūsre paikar meñ bhī Dhal kar dekho
kyā ajab tum ko hī ye ham-safarī raas aa jaa.e
do qadam hī sahī tum saath to chal kar dekho
haañ ye dastār-e-fazīlat bhī qabā-e-zar bhī
ḳhud ko dekho to ye poshāk badal kar dekho
mausam-e-hijr koī rut hai na kuchh āb-o-havā
ik taqāzā hai ki phir ghar se nikal kar dekho
maat ho jaa.e magar hausla-e-dil ke liye
āḳhirī chaal jo baaqī hai vo chal kar dekho