ek se silsile haiñ sab hijr kī rut batā ga.ī
phir vahī sub.h aa.egī phir vahī shaam aa ga.ī
mere lahū meñ jal uThe utne hī tāza-dam charāġh
vaqt kī sāzishī havā jitne diye bujhā ga.ī
maiñ bhī ba-pās-e-dostāñ apne ḳhilāf ho gayā
ab yahī rasm-e-dostī mujh ko bhī raas aa ga.ī
tund havā ke jashn meñ log ga.e to the magar
tan se koī qabā chhinī sar se koī ridā ga.ī
dil-zadagāñ ke qāfile duur nikal chuke tamām
un kī talāsh meñ nigāh ab jo ga.ī to kyā ga.ī
āḳhir-e-shab kī dāstāñ aur kareñ bhī kyā bayāñ
ek hī āh-e-sard thī saare diye bujhā ga.ī