adākārī meñ bhī sau karb ke pahlū nikal aa.e
ki fankārāna rote the magar aañsū nikal aa.e
hameñ apnī hī jānib ab safar āġhāz karnā hai
so misl-e-nik.hat-e-gul ho ke be-qābū nikal aa.e
yahī be-nām paikar husn ban jā.eñge fardā kā
suḳhan mahke agar kuchh ishq kī ḳhushbū nikal aa.e
isī ummīd par ham qatl hote aa.e haiñ ab tak
ki kab qātil ke parde meñ koī dil-jū nikal aa.e
samajhte the ki mahjūrī kī zulmat hī muqaddar hai
magar phir us kī yādoñ ke bahut jugnū nikal aa.e
diloñ ko jiit lenā is qadar āsān hī kab thā
magar ab shobade haiñ aur bahut jaadū nikal aa.e
safar kī intihā tak ek taaza aas baaqī hai
ki maiñ ye moḌ kāTūñ us taraf se tū nikal aa.e