ajab haiñ ham ye kis kī sa.i-e-lā-hāsil pe rote haiñ
abhī zinda haiñ aur nākāmī-e-qātil pe rote haiñ
hameñ rah rah ke tūfāñ kī rifāqat yaad aatī hai
haiñ ab āsūda-e-sāhil khaḌe sāhil pe rote haiñ
bahut ham ko rulāyā māzī-o-imroz ne so ab
nashāt-e-girya aisā hai ki mustaqbil pe rote haiñ
giroh-e-āshiqāñ thā shahr-e-girya un kī manzil thī
ye raste bhar bhī rote aa.e ab manzil pe rote haiñ
kahāñ rote haiñ ham āġhāz-e-tansīḳh-e-ta.alluq par
jo khīñchī jā chukī hai us had-e-fāsil pe rote haiñ