charāġh huuñ kab se jal rahā huuñ mujhe duāoñ meñ yaad rakhiye
jo bujh gayā to sahar-numā huuñ mujhe duāoñ meñ yaad rakhiye
vo baat jo aap kah na paa.e mirī ġhazal meñ bayāñ huī hai
maiñ aap kā harf-e-mudda.ā huuñ mujhe duāoñ meñ yaad rakhiye
ġhubār huuñ aap chāhe ġhāza banā.eñ yā zer-e-pā bichhā leñ
maiñ kab se raqsāñ huuñ thak chukā huuñ mujhe duāoñ meñ yaad rakhiye
bahut hī shā.istagī se har lamha Dūbtī ik sadā kī sūrat
maiñ ḳhalvat-e-jāñ meñ bujh rahā huuñ mujhe duāoñ meñ yaad rakhiye
balā se ye rāh-e-shauq merī na ho sakī par tumhārī ḳhātir
misāl-e-naqsh-e-qadam bichhā huuñ mujhe duāoñ meñ yaad rakhiye