chāñd bhī bujhā Daalā dil dukhāne vāloñ ne
kuchh uThā nahīñ rakkhā dil dukhāne vāloñ ne
ham ne ḳhastagī paa.ī dil-giraftagī paa.ī
ḳhair ham se kyā paayā dil dukhāne vāloñ ne
ḳhūb'' vaz.a-dārī hai zaḳhm-e-tāza se pahle
ham se hāl-e-dil pūchhā dil dukhāne vāloñ ne
be-qarār haiñ āñkheñ kaise ab lahū ro.eñ
ḳhushk kar diyā dariyā dil dukhāne vāloñ ne
sach kahā sadā dil ko dil se raah hotī hai
ḳhuub ham ko pahchānā dil dukhāne vāloñ ne
un kī vaj.h-e-shohrat to talḳh guftugū hī thī
kyuuñ badal liyā lahja dil dukhāne vāloñ ne