Pirzada Qasim

hamari tarah koi dusra hua bhi nahin

Pirzada Qasim

Karachi, Sindh, Pakistan

1943
hamārī tarah koī dūsrā huā bhī nahīñ
vo dard dil meñ rakhā hai jo lā-davā bhī nahīñ
hamārā dard ajab marhale meñ hai ki jahāñ
vo be-suḳhan bhī nahīñ aur lab-kushā bhī nahīñ
usī ko dekhtī rahtī hai chashm-e-shauq mudām
jo ġham abhī sar-e-shāḳh-e-alam khulā bhī nahīñ
ajiib tarah se raushan huī hai ḳhalvat-e-ġham
ki raushnī hai bahut aur diyā jalā bhī nahīñ
ye dasht-e-shauq bahut āfiyat-gazīda hai
ki ab yahāñ pe to imkān-e-naqsh-e-pā bhī nahīñ
guzar hai kaisī fazāoñ se aaj tā.ir-e-ishq
ki zer-e-bāzū-e-parvāz ab ḳhalā bhī nahīñ
maiñ aise shaḳhs ko zindoñ meñ kyā shumār karūñ
jo sochtā bhī nahīñ ḳhvāb dekhtā bhī nahīñ
ye ishq ḳhaak hī hone kā naam thā so hameñ
sila milā bhī bahut aur sila milā bhī nahīñ
ye asr-e-nau kī chitāoñ meñ aag kaisī hai
ki ruuh raakh huī aur badan jalā bhī nahīñ
tamām umr ajab vaz.a-dāriyoñ meñ kaTī
use aziiz rakhā jo hamārā thā bhī nahīñ
Top Urdushayar.com