Pirzada Qasim

dil agar kuchh mang lene ki ijazat mangta

Pirzada Qasim

Karachi, Sindh, Pakistan

1943
dil agar kuchh maañg lene kī ijāzat māñgtā
ye mohabbat-zād tajdīd-e-mohabbat māñgtā
vaqt ḳhud nā-pā.edārī ke liye mash.hūr hai
aise be-taufīq se maiñ ḳhaak shohrat māñgtā
maiñ ne sahrā se tahayyur-ḳhez hairat maañg lī
ḳhaak ho jaatā agar tahzīb-e-vahshat māñgtā
dil ko ḳhush aa.ī nahīñ ye daulat-e-āsūdgī
aur kuchh mil jaatī to ye kuchh aur zahmat māñgtā
haiñ ḳhudāvandān-e-duniyā ham tahī-dastoñ se hech
dil ko hasrat thī to ham jaisoñ se ḳhil.at māñgtā
ho gayā hotā girāñ-goshoñ se gar maġhlūb maiñ
kyuuñ suḳhan āġhāz kartā kyuuñ samā.at māñgtā
kyā ta.ajjub thā ki is saudā-garī ke daur meñ
ḳhvāb bhī ta.abīr ho jaane kī qīmat māñgtā
Top Urdushayar.com