Pirzada Qasim

miyan-e-kar-e-duniya humse dil nashad kya karte

Pirzada Qasim

Karachi, Sindh, Pakistan

1943
miyān-e-kār-e-duniyā ham se dil nāshād kyā karte
hameñ vo yaad kab aayā use ham yaad kyā karte
agar pahchān apnī ik dil-e-vīrān hai to phir
vo ham ko shaad kyā aur ham use ābād kyā karte
hameñ jaldī bahut thī ishq meñ barbād hone kī
so pesh-o-pas meñ paḌ ke vaqt ko barbād kyā karte
bhalā ye āh-o-zārī sho.abada-bāzoñ ke bas kī hai
fuġhāñ e.ajāz hotī hai fuġhāñ ījād kyā karte
agar ham sarf ho jaate kahīñ fariyād kī lai meñ
to bas lai-kār ho sakte the ham fariyād kyā karte
Top Urdushayar.com