zindagī ke dāman meñ rañg-o-nūr-o-nik.hat kyā
ḳhvāb hī to dekhā hai ḳhvāb kī haqīqat kyā
dil bhī qufl-e-abjad hai ek naam pūchhe hai
jaan le to khul jaa.e āḳhir is meñ hairat kyā
aap ke ravayya par ḳhush-gumāniyāñ kaisī
koī maslahat hogī varna ye ināyat kyā
chob-e-ḳhushk sahrā huuñ aur aarzū gul kī
sādgī se baḌh kar bhī hai koī himāqat kyā
paas kā añdherā bhī aas kā ujālā bhī
log isī ko kahte haiñ jhuTpuTe kī saa.at kyā