Pirzada Qasim

ye hadisa mujhe hairan kar gaya sar-e-sham

Pirzada Qasim

Karachi, Sindh, Pakistan

1943
ye hādisa mujhe hairān kar gayā sar-e-shām
jo zaḳhm sub.h milā thā vo bhar gayā sar-e-shām
mile the ham kahīñ kār-e-jahāñ ke mele meñ
use bhī jaldī thī aur maiñ bhī ghar gayā sar-e-shām
ye aaj kis ko achānak mirā ḳhayāl aayā
charāġh raah meñ ye kaun dhar gayā sar-e-shām
ḳhayāl-e-yār kī fursat bhī ab kise hai nasīb
ye phuul sub.h khilā aur bikhar gayā sar-e-shām
tamām din kī thakan se maiñ bujh rahā thā magar
kisī kī yaad kā chehra nikhar gayā sar-e-shām
shab-e-firāq kā ahvāl yaad aa hī gayā
phir ek tiir sā dil meñ utar gayā sar-e-shām
ye sub.h-o-shām mire is qadar hī mere haiñ
ki jī uThā huuñ sahar-dam to mar gayā sar-e-shām
Top Urdushayar.com