na pūchhiye ki kahā kyā hai an-kahī kyā hai
azaab jhel rahā huuñ suḳhanvarī kyā hai
ajab hai zauq-e-tamāshā ki ghar jalā kar log
ye chāhte haiñ samajhnā ki raushnī kyā hai
pas-e-nazar ho agar maqsad-e-hayāt to phir
ye ziist vaqt guzārī hai zindagī kyā hai
maiñ multajī huuñ na vo multafit magar phir bhī
ye ek aag diloñ meñ lagī huī kyā hai
maiñ dil ke daaġh dikhā.ūñ ki zaḳhm-e-sar un ko
jo pūchhte haiñ ki mafhūm-e-dostī kyā hai