Pirzada Qasim

mera jahan abhi mera jahan bana hi nahin

Pirzada Qasim

Karachi, Sindh, Pakistan

1943
mirā jahāñ abhī merā jahāñ banā hī nahīñ
zamīñ banī hī nahīñ āsmāñ banā hī nahīñ
hazār sabz sahī rā.egāñ sī lagtī hai
vo shāḳh jis pe kabhī āshiyāñ banā hī nahīñ
koī bhī sūrat-e-hālāt der pā na huī
jo ġham aziiz huā jāvedāñ banā hī nahīñ
jis inqalāb kī surḳhī mire lahū ne likhī
vo inqalāb mirī dāstāñ banā hī nahīñ
bahut sī aur bhī sharteñ haiñ kārvāñ ke liye
hujūm se to kabhī kārvāñ banā hī nahīñ
Top Urdushayar.com