Pirzada Qasim

uski KHwahish hai yahi harf-e-wazahat ke baghair

Pirzada Qasim

Karachi, Sindh, Pakistan

1943
us kī ḳhvāhish hai yahī harf-e-vazāhat ke baġhair
ab koī ḳhvāb bhī dekhe na ijāzat ke baġhair
ham ko DhūñDo to hameñ khone kī ḳhātir DhūñDo
ḳhvāb ta.abīr nahīñ hote haiñ hasrat ke baġhair
dil ko ik kār-e-musalsal ne rakhā hai ābād
ek lamha bhī nahīñ guzrā mohabbat ke baġhair
yuuñ bhī dushvār hai āsūda-e-sahrā honā
aur jab ḳhaak bhī ho jaanā ho vahshat ke baġhair
vaqt saffāk hai itnā kabhī sochā bhī na thā
ham use yaad na kar pā.eñge zahmat ke baġhair
ham tire qarya-e-jāñ-tāb meñ itnā Thahre
ya.anī ik lamha guzār aa.e haiñ ujlat ke baġhair
ab to ham ḳhud se bhī kam-kam hī milā karte haiñ
kisī ḳhvāhish se alag aur zarūrat ke baġhair
Top Urdushayar.com