Pirzada Qasim

kaun guman yaqin bana kaun sa ghaw bhar gaya

Pirzada Qasim

Karachi, Sindh, Pakistan

1943
kaun gumāñ yaqīñ banā kaun sā ghaav bhar gayā
jaise sabhī guzar ga.e 'jaun' bhī kal guzar gayā
us kā charāġh-e-vasl to hijr se rābte meñ thā
vo bhī na jal sakā udhar ye bhī idhar bikhar gayā
ziist kī raunaqeñ tamām us kī talāsh meñ rahīñ
aur vo ġham-nazhād 'jaun' kis ko ḳhabar kidhar gayā
gām-ba-gām ik bahisht aur vo us kī ek hasht
raah meñ bhī rukā nahīñ aur na apne ghar gayā
rasm-e-supurdagī ko kab darḳhur-e'tinā kahā
ḳhud se jo thā gurez-pā sab se gurez kar gayā
us ke suḳhan kā mo.ajiza us kī nahīñ meñ dekhiye
haañ bhī hai mājrā magar 'jaun' kahāñ udhar gayā
us ko thā saḳht iḳhtilāf ziist ke matn se so vo
bar-sar-e-hāshiya rahā aur kamāl kar gayā
us ke ḳhayāl kī numūd ahd-ba-ahd jāvedāñ
bas ye kaho ki 'jaun' hai ye na kaho ki mar gayā
Top Urdushayar.com