vo ek ḳhvāb jo dekhā gayā thā ujlat meñ
usī kā karb sameTā hai aaj fursat meñ
ye baat sach hai ki begār to nahīñ ye hayāt
ki ham ko zaḳhm-e-tamannā mile haiñ ujrat meñ
ziyāñ yahī hai ki kuchh aur sūjhtā hī nahīñ
bas ek dhyān meñ rahte haiñ log shohrat meñ
hunar kaho ki karāmat magar yahī hai ki ham
ḳhushī ko Dhaal bhī sakte haiñ ġham kī sūrat meñ
zamīn jiitī hai yā sarzamīn-e-dil us ne
savāl tishna rahā jashn-e-fat.h-o-nusrat meñ