Pirzada Qasim

yaad kya dast-e-hunar hai ki sanwarta gaya main

Pirzada Qasim

Karachi, Sindh, Pakistan

1943
yaad kyā dast-e-hunar hai ki sañvartā gayā maiñ
us ko sochā to use yaad hī kartā gayā maiñ
is ko tahzīb-e-junūñ kahiye ki mujh se pahle
jaise bikhre haiñ sabhī log bikhartā gayā maiñ
naqsh kitne the ki ma.adūm hue silsila-vār
aur har naqsh ke pahle se ubhartā gayā maiñ
ek tasvīr banā.ī thī mukammal na huī
ek hī rañg lahū rañg thā bhartā gayā maiñ
harf-e-iqrār hī kahtā rahā be-ḳhaufī se
ya.anī inkār ke āshob se Dartā gayā maiñ
dāman-e-vaqt se sau harf-e-satā.ish bhī chune
aur ilzām sabhī vaqt pe dhartā gayā maiñ
apne andar ke talātum ne rakhā hai ābād
ḳhud hī iqrār kiyā ḳhud hī mukartā gayā maiñ
mujh meñ har lamha fuzūñ-tar huā andoh-e-jamāl
aur tasvīr ke mānind sañvartā gayā maiñ
har nafas baḌhtā gayā us kī tamannā kā ḳharosh
lamha lamha isī vahshat meñ nikhartā gayā maiñ
zindagī ku-e-malāmat hai koī kyā Thahre
apnī hī vaz.a kā maiñ huuñ so Thahartā gayā maiñ
Top Urdushayar.com